AAPKI YAADEN

aapki yaadon ko jaate ek umr lag jaayegi
kaun jaane zindagi ab phir sanwar bhi paayegi?

har taraf charcha hai unke dil ke tod jaane ka
shor-o-gul kee aadatein to jaate jaate jaayegi

Totthe rishton mein paltaa Tottha bachpan yahaan
raah mein bhaTki jawaani golee hee barsaayegi

ek karke bhool jaaye saare waade toD de
jo nahin dono taraf wo kya nibaahi jayegi

hauslaa hai jeene ka itni bulandi par yahaan
maut bhi aane se pahle thoDa to ghabrayegi

Comments

Popular Posts