Aas Hoon
Woh Jo Daavedaar Hai Shaher Mein Ke Sabhi Ka Nabz-Shanaas Hoon
Kabhi Aa Ke Mujh Se Poochta Ke Main Kis Ke Gham Mein Udaas Hoon
Yeh Meri Kitaab-E-Hayaat Hai, Isay Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Main Varq Varq Tere Saamnay, Tere Roo-Ba-Roo, Tere Paas Hoon
Yeh Teri Ummeed Ko Kya Hua, Kabhi Tuu Ne Ghour Nahin Kia ?
Kisi Shaam Tuu Ne Kaha To Tha, Teri Saans Hoon Teri Aas Hoon

Comments
Post a Comment