Dil Ney Chaha
Dil Ney Chaha Hai Tujhe Izhaar Nahi Kar Sakta
Nazrein Duniya Ki Hain Mai Pyar Nahi Kar Sakta
Is Gham-E-Dil Ki Haqeeqat Ko Bayan Kaise Karoon
Mange Tu Jaan Bhi Gar Inkaar Nahi Kar Sakta
Tujhko Chahoon Ya Kirdaar Banaaon Apnaa
Ishq Dono Se Magar Yaar Nahi Kar Sakta

Comments
Post a Comment