Khafa
Tu Hai Gar Mujh Se Khafa Khud Se Khafa Hoon Main Bhi
Mujh Ko Pehchan Ke Teri Hi Ada Hoon Main Bhi
Sabt Hoon Dast-E-Khamoshi Pe Hina Ki Soorat
Na-Shunida Hi Sahi Tera Kaha Hoon Main Bhi
Mujh Ko Paana Ho To Har Lamha Talab Kar Na Mujhay
Raat Ke Pichhlay Pahar Maang Dua Hoon Main Bhi

Comments
Post a Comment